Ishq-E-UPSC : Allahabad // Viral kalakar
Ishq-E-UPSC : Allahabad
Ye Allahabad hai Bhaiyya, yha lucents aur student ka rishta theek vaisa hi hai jaise filmo me KARAN-ARJUN ka. Yha ki galiyon me students bhare pade hai aur sadakon pr second hand books, Allahabd ke students ke upar koi kahani likhne ka mtlb hai pani ko chhanni se chhanana aur hawa ko suti kapde me bandhna, Jaha body me hemoglobin pani aur minrals ki tarah students ke kamre me xerox copy prtiyogita darpan aur notes bahate rahate hai aur jaha Edison ke pankhe ke neeche students ka Etihas udiyaate rhte hai aur paanch tarah ki publication ki books pde bina khana diagest nhi hota, A4 size ke papers aur books ki tah me zindagi ka kitna rang bah jaata hai ye sirf Allahabad janta hai, Ab Allahabad khe ya Pragaraj, jagah ka name badalta hai Sahab students nhi, aur vaise bhi Shadisuda ladki aur Berojgaar ladke ka koi ghar nhi hota hai sirf Address hota hai. Allahabad students ki zindgi- zindgi nhi sirf ek shadna hai, jha sb kuchh mna hai yha log dhoop se nhi balki exam se jal jaate hai lekin fir bhi comptition ki aag jo ek Allahabad ke ladke me dhadhakti hai n vo sayad hi khi aur kisi Jwalamukhi me dekhne ko milti hai kyoki inhi students ki zindgi kisi nukkad ke chaurahe se shuru hokar dahi jalebi hote huye dopahar ke daal chawal aur chokha me shan ke aur raat ke sabji roti ke sath gum ho jati hai, Saala junoon itna ki sabji bhale hi pakata cooker me ho pr uska dimag us poster pr lga hota hai jha haldighati panipat aur tarain theeno war ki date chhapi hoti hai, Chay ki chusliyon se jyada o mahsoos krta hai newspaper ka o edtorial page jisme kayi baar doob ke apne hotho ko jla leta hai ya fir bade dhyan se sunta hai un Nukkad ki bakiatiyon ko jisme Mauka paate hi kud jaate hai apne gyan ka loha manwaane ke liye, O shaam to yaad hi hoga aapko jis samay sabka philips ka radio tune ho jaata tha Vividh bharti pr jisme Samachar kam aur Coaching ka Add jyada aata tha aur fir bhi Allahabad ka ladke hans ki trh pani se dhoodh chhaan ke gyan nikal lete hai, Ab o chahe murmura khate huye last tk akhabaar ke tukde se kahe n mile, Sangam ke kinare aane wale Siberian Pakshi ki tarah ham bhi kabhi aaye the musafir banke Allahabad ankho me competition ki neend aur dil me junoon aur sir pr chawal ki boriya lekar, Prayagraj station se utar kr Govindpur ke liye tampoo pakad liye, us tampoo me Kumar Shanu ka gana bhut tej aavaj me baj rha tha aur o tampoo ke khataare ki aavaj me mix ho rha tha aur o gana tha " Tu Dharti pe chahe jaha bhi rhegi,tujhe tere khusboo se pahchan lenge" Aur sach khe to ye gana meri life ka phla sabse badiya remix tha bilkul Allahabad ki tarah. Allahabad University se BA pass ladka agar apne name ke aage IAS lga de to kauno badi baat nhi hai. Allahabad ka ladka apne sapne ko hakikat ki tarah jeeta hai aur ham bhi isi sapane ko hakikat me jeena chahta the so ham bhi jut gye apni saare khushiyon ko pechhe chhodkar apni Mrigmarichika ki talas me, vaise exam ke pahle admit khona aur exam ke time pyar hona o to chalta hi rhta hai student life me, Vaise bhi ye allahabad hai bhaiyya, Yha aakar agar UPSC aur pyar nhi hua to fir kya hua, Khair hamara to admit card gum nhi hua lekin pyar jaroor ho gya, Vaise bhi Allahabad me ladko ko room aur padhakoo ladko ko pyar badi muskil se milta hai, ek aur baat Allahabad ke ldke aapko apna jaan bhi de sakte hai, lekin apna banaya notes nhi kahe ki yha competition pahle hai zindagi baad me yadi koi ek baar allahabad me aa jaye aur duniya ke kisi kone me rhe uske dil ke kisi kone me upsc bs hi jata hai kahe ki Allahabad ki hawao me UPSC ka nasha hai IAS ka nasha hai, Allahabad survival ka jagah nhi hai balki survival of the best ki jagah hai , Yha zindgi ko 512 mb ka nhi balki 6 GB ka RAM chahiye khud ko sametane ke liye, Chhota Baghara aur Draganj ke single kamron me sapne raaton ko khuli ankhon se dekha jata hain, Yha zindagi Economics me nhi balki history maths aur geography je sawalo me ghoomti hai, Lekin ha baabu ji ke ghar se bheje gaye paiso ka jb Economic bigadne lgta hai to Allahabad ka ldka ek naye jeev ka talas karta hai jise partner khte hai jo sirf partner nhi balki zindagi ka ek aham hissa hota hai, Allahabad ka partner room ka kiraye se lekar namak tk share krta hai, Sath hi share krta hai coaching wala pyar dilo ka dard aur Nilesh Mishra ki kahani. Bed ke karwaton se lekar gas sath me bharate hai, aur kisi din makan malik se jhagada krke Dariyaganj se Letiyarganj shift ho jate hai. Khate hai ki samay se phle aur Kismat se jayada kisi ko kuchh nhi milta, lekin ye Allahabad hai yha sirf nadiyo ka Sangam nhi hai yah bhagya aur samay dono ka Sangam hai, Ham dekhe hai yha pr time management krne ke liye ek hath se brush aur dusre se mobile pr The hindu aur you tube ka artical sunta hai, jante hai baicheni aur samay ki reaction me Student sodium aur Nacl jaisa jal gal jata hai. Pyaj katane ke samaya shaam wali bulaten ke sath shuru hota hai aur current affair ke sath khatm ho jata hai. Aur jab yha Piya Milan chaurahe pr Premika kisika dil thodati hai tb us ladke ka preparation ten times aur badh jata hai, O bhi iss liye ki " Thukra ke mere pyar mera intkaam dekhegi. " Aur agale din Sangam ke lete wale Hanuman ji ko sava kilo laddoo chadha kr kasam khata hai ki ab IAS se neeche Kuchh nhi bnana hai, Aur din bhar phone pr pdhane wali Girlfriend ke PCS me selection ho jane ke baad ek Allahabad ka sakt ladaka toot jata hai bikul apne Devdaas ki trh. Fir apni Girlfriend ko dost bna leta aur Dosti ki kasam iss baar dam laga kr hi chhodenge aur IAS bnkar ho rhenge kyoki hame ghar bhi to jaana hai.
๐This story is narrated by viral kalakaar.
๐ALSO READ THIS A letter to God
Comments
Post a Comment